|
|
|
Ashq |
|
|
do ashq meri yaad mein bahaa jaate to kya jaata chaNd kaliyaaN laash par bicHaa jaate to kya jaata
aaye ho mayyat par sanam ooDh kar naqaab tum agar ye chaand ka tukda dikhaa jaate to kya jaata
poochte the log tumse kiska hai janaazaa yeh marne waala kaun tha bataa jaate to kya jaata
sabke saamne merii ulfat ko ruswaa kar diyaa nazar ki talKhii_yaaN ,cHupaa jaate to kya jaata
har zakhm ne mere tumhe diiN haiN duaayeN umr bhar haye, ik baar seene se lagaa jaate to kya jaata
tumko yaad karte-karte jaan de di "Arsh" ne ikk chiraag hi mazaar par jalaa jaate to kya jaata !
|
|
|
|