|
|
|
Saansein chubhati hain |
|
|
Saansein chubhati hain Saansein chubhati hain mere seene mai khanjar ki tarah Jindagi lagti hai ab dur ke manjar ki tarah
Ek bhi katra muhabbat ka mukaddar na bana Hum bhatakte rahe duniya mai samander ki tarah
Dur tak apne siva kuch bhi na dekha usne Hum khade rah gaye bus raah ke manjar ki tarah
Unki yaadon se kaho koi naya ghar dhoondhein Jindagi apni hai girte huey khandehar ki tarah
******
|
|
|
|